Wednesday, January 28, 2009

Ek Dost Ke Naam

Tujhe kuch yun apna banaa loon main
Tere naam se khud ko sajaa loon main

Teri muskuraahat se jeeoun, seene se lagi rahoon
Zindagi teri inn baahon mein bitaa loon main

Tujhe jee bhar ke dekhoon, aur dekhti hi rahoon
Kaash apne chand ko yun paas bulaa loon main

Tere har ghum ko gale lagaaoun, har dukh seh loon
Tujhe har buri nazar se yun bachaa loon main

Tu hamesha mera naam keh kar muskuraata rahe
Teri muskuraahat k iraadon se sharmaa loon main

Din hanste hue bitaaoun tera khayal rakhte rakhte
Aur phir raat ko teri mohabbat se mehkaa loon main

Teri choti si galti pe rooth jaoun k tu mujhe manaaye
Nakhre dikhaaoun, par chupke se muskuraa loon main

Hanste khelte guzar jaaye kuch aise hi hamaara jeevan
Kaash iss haseen sapne ko haqeeqat banaa loon main

Sochti hoon k kar hi doon izhaar-e-mohabbat, par nahin
Kyon na abhi aur tharpaaoun, kuch der aur sataa loon main

7 comments:

  1. that was good reading sir
    Rehards


    http://delhiwithavinash.blogspot.com/

    ReplyDelete
  2. achchhi rachana hai apki..
    thanx for the comment..

    ReplyDelete
  3. शब्दों का सही चयन ......... मार्मिक रचना .........

    ReplyDelete
  4. Just a small suggestion...please remove the word verification while posting the comments.

    ReplyDelete
  5. Tere har ghum ko gale lagaaoun, har dukh seh loon
    Tujhe har buri nazar se yun bachaa loon main


    -सच्चा प्यार .

    ReplyDelete