Wednesday, February 11, 2009

Mohabbat

Mujhe tumse mohabbat hogayi hay
tumhary naam se nisbat hogayi hay

PehrooN soochta rehta hoon tujh ko
tere khiyalooN se qurbat hogayi hay

Tu kahaye aur maiN sunta rahoN sada
teri baatooN ki sohbat hogayi hay

Na rooktay ho na hi janay ki ijaazat
inn adaoN se mohabbat hogayi hay

Kaise kare mohabbat ka izhaar Aman
teri har ek sooch naimat hogayi hay

Thursday, January 29, 2009

Taron ki chamak main

Taron ki chamak main dhoondu main tumhe
Chand ki chandni main dhoondu main tumhe

Pyar ke rango se raang di hai meri zindagi
Har pal har khushi main dhoondu main tumhe

Pyar se dil ke har ek kone main aise basa loon
Khushion ke har ek raang se sajha doon tumhe

Baas jaoun tere dil aur demaag main youn aur
Reshaam se nazuk dor main baandh loon tumhe

Na jaa paoge duur phir kabhi bhi tum mujhse
Aise aapne rab se maanga hai meri jaan tumhe

Wednesday, January 28, 2009

Ek Dost Ke Naam

Tujhe kuch yun apna banaa loon main
Tere naam se khud ko sajaa loon main

Teri muskuraahat se jeeoun, seene se lagi rahoon
Zindagi teri inn baahon mein bitaa loon main

Tujhe jee bhar ke dekhoon, aur dekhti hi rahoon
Kaash apne chand ko yun paas bulaa loon main

Tere har ghum ko gale lagaaoun, har dukh seh loon
Tujhe har buri nazar se yun bachaa loon main

Tu hamesha mera naam keh kar muskuraata rahe
Teri muskuraahat k iraadon se sharmaa loon main

Din hanste hue bitaaoun tera khayal rakhte rakhte
Aur phir raat ko teri mohabbat se mehkaa loon main

Teri choti si galti pe rooth jaoun k tu mujhe manaaye
Nakhre dikhaaoun, par chupke se muskuraa loon main

Hanste khelte guzar jaaye kuch aise hi hamaara jeevan
Kaash iss haseen sapne ko haqeeqat banaa loon main

Sochti hoon k kar hi doon izhaar-e-mohabbat, par nahin
Kyon na abhi aur tharpaaoun, kuch der aur sataa loon main

Pyar Ka Ehsaas

Rehte ho tum mere labon pe meetha rus baanke
Chalkta hai har pal yeh rus labon se pyar banke

Dil main youn baase ho jaise koi surila raag ho
Baajti hai yeh saanso main pyar ki dhun baanke

Taan badan main pyar ki aisi aag sulgai aaj tumne
Saanse dhalti hai saanso main pyar ke lafz baanke

Raat meri hai sada chamakti teri bahoon main
Sajah hai mera har khwaab ashiana tere baanke

Zindagi ko har pal tumne pyar ke raango se sajaya
Rakhungi rang zinda saath janmo taak teri baanke

Na aane denge kabhi nafrat humare saansar main
Pyar ki yeh shaama sada chamke chand ki chandni baanke

Sunday, January 18, 2009

Bholi Si Tasveer

Tere Pyar Ke Daman Mein Lipte,
Tera Pyar Chhupaye Baithe Hain.

Ek Bholi Si Tasveer Liye,
Nazaron Ko Jhukaye Baithe Hain.

Bebus Hain Zamane Ke Darr Se,
Har Haal Chhupaye Baithe Hain.

Chhutega Nahi Chhutkar Bhi,
Tere Pyar Ka Rang Chadaye Baithe Hain.

Tere Pyar Ki khatir Duniya Se,
Har Haal Chhupaye Baithe Hain.

Zalim Ye Zamana Kya Jaane,
Hum Kyon Man Lagaye Baithe Hain.

Tere Pyar Me Arse Se
Duniya Ko Bhulaye Baithe Hein.

Tum Aa Jana Jab Fursat Ho,
Hum Aas Lagaye Baithe Hain.

Yeh Dil Mera

Jab Dekha Tere Aankhon Mein Maine
Thumm Sa Gaya Yeh Dil Mera..

Jab Chuma Labbo Ko Tera
Khil Sa Gaya Yeh Dil Mera..

Jab Aaye Tum Meri Banho Main
Mahek Sa Gaya Yeh Dil Mera..

Jab Aaya Waqt Juda Hone Ka Tum Se
Udaas Ho Gaya Yeh Dil Mera..

Aab Ye Aalam Hai
Utthi Hai Nazre Jaha.....

Chehra Tumhara Hota Hai Waha
Mujh Se Kehta Hai Yeh Dil Mera
Le Chaal Wapas Mujhe Un Banhon Main..........

Wednesday, January 14, 2009

Teri Aankhen

Jab mere haanthon me tera haanth aa jaata hai,
ye dil bas tere hi khayaalon me kho jaata hai.

jab bhi teri aankhon ke mahkhane se peeta hoon,
khumaari se jaane kyon ye dam nikalta jaata hai.

jab teri ek muskurahat hi aati hai honthon talak,
use dekhte hi mera har zakhm sanwar jaata hai.

kabhi bharam dilata hai wo mujhe apna hone ka,
kabhi ek pal me hi bahot door chala jaata hai.

kahoon ye kaise ki wo mere liye kya hai 'shaad',
ki sochoon bhi to dil se bas khuda nikal jaata hai.

Tuesday, January 13, 2009

Sacha Aashiq

Tere Yaadon Me Raat Kaatna
Chand Se Dosti Aur Sitaro Se Jasbaat Baatna
Aankho Me Numi Aur Bus Yehi Sochna
Ki Tujhe Chahna Aur Tujhe Jitna

Fir Aadhi Raat Ko Uthkar Chowkna
Fir So Kar Vohi Dekhna Sapna
Tera Meri Baaho Me Ghulna Aur Khilna

Mera Khuda Se Ek Hi Dua Karna
Ki Meri Liye Bus Usse Rakhna
Aur Fir Khuda Ka Mujhse Ruthna
Meri Takdeer Se Khelna Aur Bolna
Abhi Tujhe Aur Bhi Hai Sehna

Socha Beet Jayega,hai Ye Bura Sapna
Par Fir Vohi Raat Ka Vapas Loutna
Vohi Chand Hi Hussi Aur Taaro Ka Jhilmilana
Aur Mera Tujhe Na Jeet Paana
Aisa Jina................kya Jina

Lekin Agli Subah Ka Intezaar Karna
Yehi Gungunana Aur Yehi Sochna
Ki Bus Tujhe Hai Paana,
Tujhe Hai Jitna
Tujhe Hi Chahna...................

Thursday, January 8, 2009

Yaad teri aane lagi

Jab jab dil ko beete dino ki yaad lagi aane
Tab tab tanha raatien meri lagi mehekne

Dhadkane dharkti hai tez jab dekhu tujhe
Khwabon main teri surat jo lagi samane

Chua teri unglion ne gallon ko aise ki
Nazrein humari jhuki aur lagi sharmane

Tarapta hai dil har pal saath ke liye tere
Aab to yeh judai mujhko hai lagi tarpane

Tere pyar ka nasha yun chara hai mujhe
Yaadien teri aaj mujhko hai lagi behkane

Dil ka taj

hushn-e-malika kya tere pyar ki gehrai he

chahat e teri tere khun se sinch ke aai he

ek vo tha jisne kadar-e-pyar qabr ek banai he

jisko patharo se saja ke taaj vo kehlai he

ek hum he jisne tasvir teri dil me bithai he

khun se apne sinch ke dil ke taj se sajai he

~~Pyar ka rang~~

pal me hasna pal me ruthna pal pal me badalta rang
abhi hasdi boli pyar se jaan fir dekho vo khafa ho gai

khatti-meethi nok jhok hi to badhati he pyaar ke rang
abhi chehak kar boli meri jaan fir dekho khafa ho gai

ek duje ke dil me reh ke banta he gehra pyar ka rang
sine me dard bhar ke ruswai ka fir dekho khafa ho gai

judai na raaj aati he dono ko yahi he ye pyar ka rang
fir bhi tanha chhod ke mehfil me dekho vo khafa ho gai

saath ho jabtak lagti suhani duniya yahi he pyar ka rang
kuchh pal dur kya raha us se dekho vo fir khafa ho gai

uske bina lagta he sunapan yahi he vo pyar ka rang
jab baat karne bulaya vakt nahi bolke fir khafa ho gai

Dur sahi paas mehsus hoti he vo yahi he pyar ka rang
tarste hotho ko mitha sa chumban deke fir khafa ho gai

dil ne dil ko pukara khinch chali aai yahi he pyar ka rang
sun ke dil ki pukar janmo ka saath nibhane dekho vo aa gai