pal me hasna pal me ruthna pal pal me badalta rang
abhi hasdi boli pyar se jaan fir dekho vo khafa ho gai
khatti-meethi nok jhok hi to badhati he pyaar ke rang
abhi chehak kar boli meri jaan fir dekho khafa ho gai
ek duje ke dil me reh ke banta he gehra pyar ka rang
sine me dard bhar ke ruswai ka fir dekho khafa ho gai
judai na raaj aati he dono ko yahi he ye pyar ka rang
fir bhi tanha chhod ke mehfil me dekho vo khafa ho gai
saath ho jabtak lagti suhani duniya yahi he pyar ka rang
kuchh pal dur kya raha us se dekho vo fir khafa ho gai
uske bina lagta he sunapan yahi he vo pyar ka rang
jab baat karne bulaya vakt nahi bolke fir khafa ho gai
Dur sahi paas mehsus hoti he vo yahi he pyar ka rang
tarste hotho ko mitha sa chumban deke fir khafa ho gai
dil ne dil ko pukara khinch chali aai yahi he pyar ka rang
sun ke dil ki pukar janmo ka saath nibhane dekho vo aa gai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment