Tere Pyar Ke Daman Mein Lipte,
Tera Pyar Chhupaye Baithe Hain.
Ek Bholi Si Tasveer Liye,
Nazaron Ko Jhukaye Baithe Hain.
Bebus Hain Zamane Ke Darr Se,
Har Haal Chhupaye Baithe Hain.
Chhutega Nahi Chhutkar Bhi,
Tere Pyar Ka Rang Chadaye Baithe Hain.
Tere Pyar Ki khatir Duniya Se,
Har Haal Chhupaye Baithe Hain.
Zalim Ye Zamana Kya Jaane,
Hum Kyon Man Lagaye Baithe Hain.
Tere Pyar Me Arse Se
Duniya Ko Bhulaye Baithe Hein.
Tum Aa Jana Jab Fursat Ho,
Hum Aas Lagaye Baithe Hain.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
kam umra ki komal bhwnayen.......
ReplyDeletejimmi ji bahut achha likhte hai lage rahiye apne bhaav chhupayen nahi logon se baant lem
ReplyDeleteभोली सी तस्वीर " अच्छा प्रयास किया आपने .
ReplyDeleteअच्छा होता अगर आप इन गजल को हिन्दी में लिखती.
आपका "पाहरी बाबा" पर आना अच्छा लगा .
धन्यबाद
राजीव महेश्वरी
hindi mein kabe likhaa nahi is liye
ReplyDeleteblog per aane ki liyi thanx 2 all
ReplyDeletecopy link's
http://www.discobhangra.com/shayari/
"bebus haiN zmaane ke darr se,
ReplyDeletehr haal chhupaye baithe haiN..."
mn meiN chhipi pyaar ki komal si aahat ka
khoobsurat sa izhaar...
ek achhi rachna . . . !!
mubarakbaad.....!!
---MUFLIS---
bahut achchha,
ReplyDeleteतस्वीर लिए नजरे झुकाए बैठे है -बहुत बढ़िया =दिल में रहती है तस्वीरे यार जब जरा गर्दन झुकाई देखली /जो सब से डरेगा वो प्यार क्या करेगा ऐसा कोई गाना है तुम्हारे दूसरे शेर वाबत /तीसरा शेर "" ऐसी रंग दे कि रंग नाहीं छूटे ,धोबिया धोये ये चाहे सारी उमरिया -श्याम पिया मेरी रंग दे चुनरिया /अन्तिम शेर "" फुर्सत हो तो आजाना ,अपने ही हाथों से मेरी दुनिया .....(शायद ""बसा जाना"" ही है) पुराना फिल्मी गाना है
ReplyDeleteबहुत सुंदर प्रस्तुति
ReplyDeletebahut achchhi shayari hai.
ReplyDeletekeep it up.